What is juice jacking?

Hello Guys aaj hum aaye hai ek aur interesting topic jo hai juice jacking toh phir abhi iska naam sunke bohot logo ke dimaag mai aaya hoga ki aaj ansh bhai kaha juice ki dukkan khol lie toh bhaiyon bta du ye ek cyberattack hai jo apke mobile ko charge krte waqt usb cable se hota hai jaise ki aap kbhi outofstation jate hai aur apka mobile discharge ho jata hai aur aap public charging ports dhundte hai aur usb cable usb port mai lga dete hai aur mobile ko charge krne ke lie rakh dete hai pr aapko bta ni hota usme charging ke through apka pura data attackers ke pass chala jata hai aur apka mobile unke control mai aajata hai

From how through usb ports?

Bhaiyon aap logo ne judge kia hoga jb bhi aap apne mobile ko computer ya laptop se charge krte hai toh mobile mai by defalut data transfer ka notification aajata hai apko kuch move krna hai toh mobile se select kr skte hai aur mobile charge bhi hota rehta hai generally jo normal usb cables rehte hai usme 5 pins rehti hai usme khali ek mobile ko charge krne ke lie hoti hai baki data transfer transfer ke liye jo attacker rehte hai usb ports ke background mai apna suspicious small sytem install krdete hai aur jaise hi koi ports connect krta hai toh direct notification attacker ke pass jata hai aur process chalu ho jata hai

Types of juice jacking

  • Data theft
  • Malware Installation

Data theft

Aur guys agr dhokhe se aap iska sikaar ho gye toh aapke data ka istmall kisi bhi galat kaam ke lie kia jaa skta hai jaise jo attacker hoga dark web mai aapka personal information credit card detail password sell kr skta hai aur aapki mehnat ki kamai ek jhatke mai saaf ho skti hai

Malware installation

And jo second method hai malware install kr denge apke device mai same usb connection se data stolen krna unka ek maatra lakshay ni hota woh iss method se koi bhi criminal activities kr skte hai aur agr location trace hua toh woh apka hoga aajkl aaise spy malware hai jo dikhte ni hai like ransomware spyware wagera

Can usb data really blocks data transfer

Ek usb data blocker rehta hai jo apko normally online vendors ke through mil jata hai yadi aap travel krte hai toh isko khareed lijiye ye aap travellers ke lie bohot acchi cheez hai jo apko juice jacking jaise attack se bacha skta hai ye apko 500 se 600 ke bich online mil jyga

Contrameasures

  • First and last juice jacking se bachne ke liye public ports ka istmall ni krna hai
  • second agar public ports use kr rahe to pura mobile check kr lijiye ki koi uneven cheez toh ni ho rai hai mobile mai
  • Agar mobile bina use kiye battery drain ho rai hai aur kbhi public ports use kia hai toh ye bhi uska sanket ho skta hai

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

3 × 1 =